Bain
Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Dukh Deemak K Nazar Paar Utar Jaayein Gay
Zindagi Jeisay Ghata Toop Andhairay Main Basar Hoti Hia
Naaghaani Kisi Bhaphray Hue Wehshi Ki Tarha
Rooh Ki Dhool Urra Jaati Hai
Sukh Ki Be-Sood Tamanao Ki Paadaash Main Yaktarfa Saza
Aan Girti Hai Kisi Gareeb Say Naadeedgi Adal K Palrro Pay Safar Karti hui
So Rahay Hotay Hain Thak Haar K PuncChi Ghum K
Daar K Daar Urra Jaati Hai
Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Khoon Main Utri Hui Moat Say Oojhal Hai
Shaakh Say Liptay Hue Saanp Ki Maanind Bohat Dheeray Say
Aashiyaanay Ki Taraf Barhti Hai
Jhir Jhiri Bhi Nahi Leinay Deiti
Bain Izzat He Sahi Maiyat Ki Magar Baad Baaton Say Kabhi
Saaibaan Jurrtay Nahi Tootay Hue
Aasman Zinda Nahi Ho Jaatay
Aasman Martay Hain Aur Waqt Bigarr Jata Hai
Aasmaan Martay Hain Aur Shehar Ujarr Jata Hai
Kon Si Subha Jagaayein Gay Sir Ehd O Wafa, Kon Si Raat Sula Rakhain Gay
Kab Talak, Aur Bhala Kis Kis Say Khafa Rakhain Gay
Koi Awaz Lotay Gi
Koi Mehroom Dilaasa Bhi Nahi Paltay Ga
Kab Talak DiL Ko Cchupa Rakhain Gay
Sog Ka Sog Mana Lainay Say Kaya Hota Hai____!!