Thursday 18 September 2014

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay


Bain

Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Dukh Deemak K Nazar Paar Utar Jaayein Gay
Zindagi Jeisay Ghata Toop Andhairay Main Basar Hoti Hia
Naaghaani Kisi Bhaphray Hue Wehshi Ki Tarha
Rooh Ki Dhool Urra Jaati Hai
Sukh Ki Be-Sood Tamanao Ki Paadaash Main Yaktarfa Saza
Aan Girti Hai Kisi Gareeb Say Naadeedgi Adal K Palrro Pay Safar Karti hui
So Rahay Hotay Hain Thak Haar K PuncChi Ghum K
Daar K Daar Urra Jaati Hai
Kab Talak Dil Ko Cchupa Rakhain Gay
Khoon Main Utri Hui Moat Say Oojhal Hai
Shaakh Say Liptay Hue Saanp Ki Maanind Bohat Dheeray Say
Aashiyaanay Ki Taraf Barhti Hai
Jhir Jhiri Bhi Nahi Leinay Deiti
Bain Izzat He Sahi Maiyat Ki Magar Baad Baaton Say Kabhi
Saaibaan Jurrtay Nahi Tootay Hue
Aasman Zinda Nahi Ho Jaatay
Aasman Martay Hain Aur Waqt Bigarr Jata Hai
Aasmaan Martay Hain Aur Shehar Ujarr Jata Hai
Kon Si Subha Jagaayein Gay Sir Ehd O Wafa, Kon Si Raat Sula Rakhain Gay
Kab Talak, Aur Bhala Kis Kis Say Khafa Rakhain Gay
Koi Awaz Lotay Gi
Koi Mehroom Dilaasa Bhi Nahi Paltay Ga
Kab Talak DiL Ko Cchupa Rakhain Gay
Sog Ka Sog Mana Lainay Say Kaya Hota Hai____!!

Ishq Ik Majnoon Boorha Devta


Ishq Ik Majnoon Boorha Devta

Ishq Ik Majnoon Boorha Devta
Na Shanasayi Pay Heira'n
Be_Hasi Pay Sakht Naala'n Deharki
Hath Mein Ik Ley K Puriya Zehar Ki
Baal Bikhraye
Smeitay Dhajiya'n Malboos Ki
Paao'n Mein Pehnay Hue Zakhmo'n K Naa'lein_E_Kohan
Patharo'n Ko Khatkhtaata Phir Raha Hai
Daalta Phirta Hai Nazrein Qehar Ki....!!

Apnay Jhoolay Main Liye Kuch But Puraanay
Aur Kuch Guriya'n Beetay Zamany Ki
NaJaanay Kaya Burburata Phir Raha Hai
Be_Khabar Hai Apni Haalat Say
Khalqat Hans Rahi Hai Har Gali K Morr Par
Aur Sun Raha Hai Siskiya'n Bhi Fitrat_E_Nam'naak Ki
Pur_Peich Rasto'n Ki Lagaamein Thaam Kar
Kaainat_O_Tajard Ungliyo'n Say Baandh Kar Bhi
Dil Main Koi Gham Chupaye Phir Raha Hai
Waqt Ki Dharkan Pay Rakhta Apnay Qadmo'n K Nishan
Chakra Raha Hai.....!!
Hans Raha Hai Rotay Rotay
Ro Raha Hai Hanstay Hanstay
Patharo'n, Pathar_Garo'n K Darmiya'n
Ishq Ik Majnoon Boorha Devta
Hath Main Ley K Puriya Zehar Ki.....!!

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch


Mujhe Maloom Hai Sab Kuch

Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,,
K Woh Harf-E-Wafa Say Ajnabi Hai,,
Woh Apni Zaat Say Hat Kr,,
Bohat Kam Sochti Hai,,
Woh Jab Bhi Aaiyna Dekhey,
To Bus Apney Hi Khad-O-Khaal K Taiwar Dekhti Hai....!!
 Usay Apney Badan K Zaaviye,
Qausein, Musalas,Mustateelein
Bazu'on Ki Dastaras Mein Raqs Krti Khwahisho'on Ki Sab Uranein
Qeemti Lagti Hein Seem-O-Zar K Posheeda Khazano'on Say
Zameeno'on, Aasmaano'on Mein Rawa'an Roshan Zamano'on Say
Woh Lamha Lamha Apney Hi Tarasheeda Kurron Mein  Ghoomti Hai,
Woh Baarish Mein Nahaayi Dhoop K Aangan Mein,
Nichurti, Naachti Boondo'on Ko Pe Kr Jhoomti Hai....!!
Usay Apney Siwa, Duniya Ki Her Soorat,
Her Ik Tasveer,Betarteeb Lagti Hai,
Mujhey Maloom Hai Sab Kuch,
K Woh Rango'on Bharey Manzar, Dhanak K Zaeqey,
Ujli Fiza Ki Khushbu'en,
Jhilmil Shua'yen,
Apne Honto K Halqo'on Mein Muqaiyyad Kr K Apni Muskurahat K,
Dareechey Kholti Hai,
K Woh Iqrar K Lamhon Mein Kam Kam Bolti Hai,
Mujhe Maloom Hai Sab Kuch,
Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai
,K Is Maloom Ki Sarhad K Us Janib,
Fishaar-E-Aagahi Ka Aasman Hai,
Khud Faramoshi,Khamoshi Ki Zameen Hai,
Jahan Zahir Ki Aankhon Say Abhi Madoom Hai,
Mujhe Sab Maloom Hai,Magar Maloom Hi Sab Kuch Nahi Hai...!!