Thursday, 14 July 2011

Songs Lyrics


Poch rahe hien pochne wale
Lekin hum batlayen kiya
Daagh yeh dil ney payen hien kese
unko hum samjhayen kiya
Kitne dagh hien is daman mein
Kitne dagh hien mathey per
Jo hum ko apna sakte hien
Sach hai humein apnayen kiya
Dagh yeh dil ney payen hien kese
Unko hum samjhayen Kiya
Poch rahe hien pochne waley

Jo apnon ki basti thi ab nagri hai baigano ki
Kon yahan hien sunane wala
Dil ki baat sunayen kiya
Dagh yeh dil ney payen hien kese
Unko hum samjhayen kia
Poch rahe hien pochne waley

Pathar ab kiya phenk rahe ho
Hum pehle se zakhmi hien
Dil per kitne zakhm lagey hein
Choro tumhien ginwayen kiya
Dagh yeh dil ney payen hien kese
Unko hum samjhayen kiya
Poch rahe hein pochne waley

 **********************************************************

Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
ghadi bhar ko tere nazdeek aakar hum bhi dekhenge (2x)
haan ji haan hum bhi dekhenge
tere mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
teri kadmon pe sar apna jhukakar hum bhi dekhenge (2x)
haan ji haan hum bhi dekhenge

bahaarein aaj paigham-e-mohabbat leke aayi hain
badi muddat mein ummeedon ki kaliyaan muskurayi hain
badi muddat mein jee haan, aa aa aa..
badi muddat mein ummeedon ki kaliyaan muskurayi hain
gham-e-dil se zara daaman bachakar hum bhi dekhenge (2x)
haan ji haan hum bhi dekhenge

agar dil gham se khali ho toh jeene ka maza kya hai
na ho khoon-e-jigar toh ashq peene ka maza kya hai
na ho khoon-e-jigar, haan...
na ho khoon-e-jigar toh ashq peene ka maza kya hai
mohabbat mein zara aansoo bahakar hum bhi dekhenge (2x)
teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
Find More lyrics at www.sweetslyrics.com
haan ji haan hum bhi dekhenge

mohabbat karne walon ka hai bas itna hai afsana
tadapna chupke chupke aah bharna, ghut ke mar jana
tadapna chupke ji haan, aa aa aa..
tadapna chupke chupke aah bharna ghut ke mar jana
kisi din yeh tamasha muskurakar hum bhi dekhenge (2x)
haan ji haan hum bhi dekhenge
Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
haan ji haan hum bhi dekhenge

mohabbat humne maana zindagi barbaad karti hai
yeh kya kam hai ki mar jaane pe duniya yaad karti hai (3x)
kisi ke ishq mein duniya luta kar hum bhi dekhenge (2x)
tere kadmon pe sar apna jhukakar
ghadi bhar ko tere nazdeek aakar
Teri mehfil mein qismat aazmakar hum bhi dekhenge
haan ji haan hum bhi dekhenge (2x)

 **********************************************************

Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyun Hai?
Gar Banaye To Mohabbat Main Judai Kyun Hai?

Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rehta Tha
Dil Me Aabaad Gulabon Ka Nagar Rehta Tha
Zindagi Khaar Bhari Raah Mein Layi Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?

Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Mein Sitare Mere
Gham Ke Toofan Mein Doobe Hain Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Mohabbat Ka Parastar Hu Main
Yeh saza Phir bhi Mere Hisse Mai Ayee Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai?

Mai Agar Roun To Sehra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jahaan Mai Jo Agar Aah Bharun
Aasma Toot pare Tujse Jo Fariyad Karun
Itni Gehrayi Mere Ishq Mein Aayi Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye Banayi Kyun Hai?
Gar Banaye To Mohabbat Main Judai Kyun Hai?

**********************************************************

  Zindagi mein koyi kabhi aaye na rabba

Aaye jo koyi toh phir jaaye na rabba

Dene ho gar mujhe baad mein aansoo

Toh pehele koyi hasaaye na rabba


Dil ke jo armaan the dil mein hi reh gaye

Aashiqui jo kee toh ham ashqon mein beh gaye

Gham ka fasaana hai, dard ye puraana hai

Itna bhi koyi yaad aaye na rabba


Ashq aankhon mein bhare hain, jigar jalta hai

Kya qayaamat hai, kya qayaamat hai, Kya qayaamat hai

Bhari barsaat mein ghar jalta hai


Yahi sochta hoon kaise usko bhoolaaunga

Na woh kabhi aayegi na usse bhool paaunga

Jeene ka thheekaana hai na, marne ka bahaana hai

Itna bhi koyi bhi sataaye na rabba


Zindagi mein koyi kabhi aaye na rabba

Aaye jo koyi toh phir jaaye na rabba

Dene ho gar mujhe baad mein aansoo�

Toh pehele koyi hasaaye na rabba

**********************************************************

Naina Tum Hi Bure Ho
Tumse Bura Na Koi
Aaphi Preet Ki Aag Lagayi
Aaphi Baitha Roye
Sajnave Haaniyave
Mahiyave Ranjhnave

Sajna Main Hari
Sajnave
Sajna Main Hari
Aajaa Ek Vari
Sajna Main Hari
Aajaa Ek Vari
Dil Lagda Nahi Tere Bin Haniya
Oh Mere Mahiya Jaaye Na Ab Jiya
Sajna Main Hari
Aajaa Ek Vari
Sajna Main Hari
Aajaa Ek Vari
Tha Kiska Kasoor Ve
Hue Hum Jo Door Ve
Jo Sach Hai Woh Saamne
To Aata Zaroor Ve
Tha Kiska Kasoor Ve
Hue Hum Jo Door Ve
Jo Sach Hai Woh Saamne
To Aata Zaroor Ve
Na Jaane Yeh Kaisi Ajab Dastaan Hai
Kadam Pe Hai Manzil Juda Rasta Hai
Juda Rasta Hai
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari
Dil Lagta Nahi Tere Bin Haniya
Oh Mere Mahiya Jaaye Na Ab Jiya
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari

Na Dil Ko Khabar Hui
Juda Kab Nazar Hui
Achanak Yeh Zindagi
Kidhar Thi Kidhar Hui
Na Dil Ko Khabar Hui
Juda Kab Nazar Hui
Achanak Yeh Zindagi
Kidhar Thi Kidhar Hui
Chali Yu Hawayein Uda Ashiyana
Yeh Leke Gayi Mera Muskurana
Mera Muskurana
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari
Dil Lagta Nahi Tere Bin Haniya
Oh Mere Mahiya Jaaye Na Ab Jiya
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari

Naseeban Khel Ve Bade Hi Ajeeb Ve
Hai Lambi Judaiyan Dilande Kareeb Ve
Naseeban Khel Ve Bade Hi Ajeeb Ve
Hai Lambi Judaiyan Dilande Kareeb Ve
Koi Jeet Jaaye Mohabbat Ki Baazi
Kisiko Na Bhaye Khushi Yeh Zara Bhi
Khushi Yeh Zara Bhi
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari
Dil Lagta Nahi Tere Bin Haniya
Oh Mere Mahiya Jaaye Na Ab Jiya
Sajna Main Hari
Aaja Ek Vari

**********************************************************


Orey manva tu to bavra hai
Tu hi jaane tu kya sochta hai
Tu hi jaane tu kya sochta hai bavre
Kyun dikhaye sapne tu sote jaagte
Jo barse sapne boond boond
Nainon ko moond moond
(Nainon ko moond moond)
Jo barse sapne boond boond
Nainon ko moond moond
Kaise main chaloon, dekh na sakoon
Anjaane raastein
(chorous)
Gunjasa hai koi iktara iktara, gunjasa hai koi iktara
Gunjasa hai koi iktara iktara, gunjasa hai koi iktara
Dheeme bole koi iktara iktara, dheeme bole koi iktara
Gunjasa hai koi iktara iktara, gunjasa hai koi iktara
Sun rahi hoon sudh budh khoke koi main kahani
Poori kahani hai kya kise hai pata
Main to kisiki hoke yeh bhi na jaani
Ruth hai ye do pal ki ya rehgi sada
(kise hai pata� kise hai pata)
Jo barse sapne boond boond
Nainon ko moond moond
(Nainon ko moond moond)
Jo barse sapne boond boond
Nainon ko moond moond
Kaise main chaloon, dekh na sakoon
Anjaane raastein
Gunjasa hai koi iktara iktara, gunjasa hai koi iktara
Gunjasa hai koi iktara iktara, gunjasa hai koi iktara
Dheeme bole koi iktara iktara, dheeme bole koi iktara
Gunjasa hai koi iktara iktara, gunjasa hai koi iktara

 **********************************************************

hans ke sah lege agar tujhame buraa_i hogi
gair se aankh ladaa_i to ladaa_i hogi

Gam naa hogaa jo kabhi thodi judaa_i hogi
gair se aankh ladaa_i ...

maaf kar dege tumhe jaane yaa ajaane me
baat jo tumane ko_i hamase chhupaa_i hogi
gair se aankh ladaa_i ...

ham sanam saath nibhaa_ege saat janmo tak
yu kisi ne bhi muhabbat naa nibhaa_i hogi
gair se aankh ladaa_i ...

**********************************************************

tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

gulistan de diye to ne in kharon ko
mere hisse main to ek shabnam naheen

dard hoga dawa ab koi humdum naheen

humsafar hum se ab chor de umeedain
humsafar hum se ab chor de umeedain
saath hum kia denge hum main ab dum naheen

dard hoga dawa ab koi humdum naheen

tum se shikwa karain yaar hum kis tarhan
tum to tum hi rahe hum magar hum naheen

dard hoga dawa ab koi humdum naheen

kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila
kaun hai duniya main jis ko sab kuch mila
mujh ko sab kuch mila bas mile tum naheen


tum gaye ghum naheen aankh ye num naheen
dard hoga dawa ab koi humdum naheen

**********************************************************

kabhi khud pe
kabhi khud pe
kabhi halaat pe rona aaya

kabhi khud pe
kabhi khud pe
kabhi halaat pe rona aaya

baat nikli
to har ik baat pe
rona aaya
baat nikli
to har ik baat pe rona..

hum to samjhe the ke
hum bhool gaye hain un ko
hum to samjhe the..
hum to samjhe the ke
hum bhool gaye hain un ko

kya hua aaj
ye kis baat pe rona aaya
kya hua aaj
ye kis baat pe rona aaya
kabhi khud pe
kabhi halaat pe rona..

kisliye jeete hain hum
kisliye jeete hain hum
kis ke liye jeete hain

baarh aise sawalaat pe
rona aaya
baarh aise sawalaat pe
rona aaya
kabhi khud pe..

kaun rota hai
kisi aur ki khaatir aye dost
kaun rota hai
kisi aur ki khaatir aye dost

sab ko apni hi
kisi baat pe rona aaya
sab ko apni hi
kisi baat pe rona aaya

kabhi khud pe
kabhi khud pe
kabhi halaat pe rona aaya

baat nikli
to har ik baat pe rona aaya
kabhi khud pe..

**********************************************************


Ajnabi Sheher Ke Ajnabi Rasty..'

'Meri Tanhai Par Muskraty Rahy..'

'Me Bhot Dair Tak Yonhi Chalta Raha..'

'Tum Bhot Dair Tak Yad Aaty Rahy..'

'Zehar Milta Raha Zehar Peety Rahy..'

'Roz Marty Rahy
Roz Jety Rahy..'

'Zindagi Bhi Hamen Aazmati Rahi..'

'Or Ham Bhi Isy Aazmaty Rahy..'

'Zakham Jab Bhi Koi Zehan-O-Dil Par Laga..'

'Zindagi Ki Taraf Ek Daricha Khula..'

'Ham Bhi Goya Kisi Saaz Ke Tar Hen..'

'Chot Khaty Rahy Gungnaty Rahy..'

**********************************************************

**********************************************************


bala ka husn gazab ka shabaab neend mein hai (2)
hai jism jaise gulistaan gulaab neend mein hai (2)

usse zaraa sa bhi padh lo to shaayari aa jaaye (2)
abhi ghazal ki mukkammal kitaab neend mein hai (2)

machal rahi hai mere dil mein deed ki hasrat (2)
woh daale chehre pe neela naqaab neend mein hai (2)

woh inqalaab uthaata hai le ke angadaayi (2)
sawaal jaaga hua hai jawaab neend mein hai (2)

**********************************************************

1 comment: