Sunday, 26 June 2016

Wo rulata hai to jee bhar k rulaye mujhe

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise...

Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k gham ko zamane se chupaon kaise.....

Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise....

Wo rulata hai to jee bhar k rulaye mujhe,
WO meri aankhen hai, main usko rulaaon kaise.....

Kuch log itne achay hotay hain

Kuch log itne achay hotay hain
Hum inhen lakh bholana chahein wo hath uthtay hi samne yun aa jatay hain jaisay duwaon ki sorat apna Qaraz mang rahay hon.

Us-Ko Achaanak Say Jo Khoya To Yun Laga

Us-Ko Achaanak Say Jo Khoya To Yun Laga
.
Zindagi Aik Hi Lamhay Men Ganwaa Di Maine

IshQ ki Aakhri Manzil Per Aa Kar Socha

IshQ ki Aakhri Manzil Per Aa Kar Socha.

Ab Teri Yaad Ko Dariya Main Baha Diya Jaaye.

Ek Tum hi na mil sakay warna.

Ek Tum hi na mil sakay warna.

Milne walay bichar bichar k milay.

Tumhari yaad ki kirnay hamare dil me roshan hain.

Tumhari yaad ki kirnay hamare dil me roshan hain.

Isay khud hi buja dena kabhi aana hawa ban kar.

A Mere Hamdam Juda Kab Tak Raho Gay,

A Mere Hamdam Juda Kab Tak Raho Gay,
Hum Se Khafa Kab Tak Rahoo Gay,
Tumhe Jaan Samja Hai A Mere Hamdam,
Is Jaan Par Karte Raho Ghe Kab Tak Setam,
Log Pathar Martey Rahe Mein Tooti Nahi,
Dekh Teri Judai Ne Aaj Toor Deya Mujhe,
Ankhoon Me Nami Rehti Hai,
Dil Mein Teri Kaami Rehti Hai,
A Mere Hamdam Dil Dukhta Hai,
Tu Jab Door Rehta Hai,
A Mere Hamdam Juda Kab Tak Raho Gay,
Hum Se Khafa Kab Tak Raho Gay...

Us Ka Wada Hai Eid Milnay Ka

Us Ka Wada Hai Eid Milnay Ka 

Eid Mein Kitney Roz Baqi Hain

Saturday, 25 June 2016

Hijar ka baab hogaye tum bhi

Hijar ka baab hogaye tum bhi
Kitne kamyab hogaye tum bhi

Mein na kehti thi waqt zalim hai
Dekh lo khuwab hogaye tum bhi

Tum agar pas nahin ho to koye baat nahin

Hijr ki pyas main qatra bhi bohat hota hay
Deed k wastay lamha bhi bohat hota hay

Jin k milnay ki nahin door tak koye ummed
Un k kho janay ka khadsha bhi bohat hota hay

Tum agar pas nahin ho to koye baat nahin
Sirf ehsas ka dhoka bhi bohat hota hay

Jin pe hota hay maan, bohat gehra maan
Wo badal jayen to sadma bhi bohat hota hay

Phir khud hi palat aati hon main rastay say
Warna chalnay ka irada to bohat hota hay

Pas hota hay to chonay nahin daita khud ko
Door ho jaon to shikwa bhi bohat hota hay

Jin k kho janay pe kho jatay hain sab hosh-o-hawas
Un k mil janay ka nasha bhi bohat hota hay

Ab koye aur talab dil main nahin hay
Teri yaad ka saya bhi bohat hota hai.

Wednesday, 22 June 2016

Amjad Sabri shot dead in Karachi.. :(


Inna Lillah He Wa Inna Ilayi He Rajioun
Hands are shivering as typing about the great loss of qawali world , death of Qawal Amjad Sabri .. It is so sad to hear and to inform you all about the demise of Amjad Sabri , may ALLAH Almighty grant him high ranks in Janah. Aameen ..
And may ALLAH Almighty grant 'sabr-e-jameel' to all the followers and family.. Aameen
Please recite Surat Fatiha for him.

:(
May Allah give u jannat Ul Firdous
Ameen sum Ameen.

Monday, 20 June 2016

Yun shraraat bharhi nazroon se na daikhoo hamain..

Yun shraraat bharhi nazroon se na daikhoo hamain..

Agr ishq shoukhi par utar ayaa tu kahaa jao gi..

Sunday, 19 June 2016

Ye meri zeest ki sb se bari tamanna thi�

Ye meri zeest ki sb se bari tamanna thi�

Wo mery paas, mery naam ki tarah rehta *

Happy father's day

We never know the love of our parents for us until we have become parents.
Happy father's day

Saturday, 18 June 2016

Meri Har Dua Ka Mehvar Bas Ek Aarzoo Tumhari

Is Aarzoo Se Aagay Koi Raasta Nahi Hai
Tumhain Kis Qadar Hai Chaha,
Tumhain Yeh Pata Nahi Hai,

Koi Pal Bina Tumhare Bhala
Kaise Beet Jaye 
Mere Paas Tum Nahi Ho,
Mere Paas Kuch Nahi Hai,

Meri Har Dua Ka Mehvar Bas Ek Aarzoo Tumhari 
Is Aarzoo Se Aagay Koi Raasta Nahi Hai..

Ham ny ghazlon mein tumhyn aisy pukara Mohsin,

Ham ny ghazlon mein tumhyn aisy pukara Mohsin,
Jaisy tum ho koi qismat ka sitara Mohsin,
A� to khud ko �hi nikhara nahi jata ham sy,
Wo �hi kia din thy k tujh ko �hi sanawara Mohsin,
Apny khwa�on ko andheron k hawaly kar k
Ham ny sadqa tyri aankhon ka utaara Mohsin,
Ham ko maloom hai a� laut k aana tyra,
Gar nahi mumkin mgar phir �hi Khudara Mohsin,
Ham to rukhsat ki ghari tak �hi na samjhy,
Saans dyti rahi hijrat ka ishaara Mohsin...!

Tuesday, 14 June 2016

Bharam Rakho Mohabbat Ka Wafa Ki "Shaan" Ban Jao

Bharam Rakho Mohabbat Ka Wafa Ki "Shaan" Ban Jao

Kissi Pe "JAAN" De Do Ya Kissi Ki "Jaan" Ban Jao

Tumhare "Naam" Se Mujko Pukarain Ye "Jahan" Walay

Main Ban Jaon "Afsaana" Aur Tum "Unwaan" Ban Jao

Mujh Ko Ye B Nahi Malom Kahan Rhta Hai

Mujh Ko Ye B Nahi Malom Kahan Rhta Hai
Jo K Chalti Hoi Saanso Me Rawan Rhta Hai

Yun To Hr Tarha Se Weran Hai Dil Ki Basti
Bin Batye He Magr Koi Yahan Rehta Hai

Ab Kisi Raat Mei Jalta Nahi Koi Chiragh
Shaam Se Bus Us ki Yaado Ka Dhoowan Rehta Hai

Aks Us ka Nazar ata Ha Her ek Cheez Mein
Rat Din Bus US ka He Gumaan Rhta Hai..

Mujhy kitna sataate ho, . Mujhe Q YAAD aate ho�

Mujhe tum YAAD aate ho,
.
Khyalon mai Sawalon mai
Mohabbat k hawalon mai,
.
Tumhen awaaz deti hun,
Tumhen wapis bulati hun,
.
Jb koi nazm kehti hun,
Ousy unwan deti hun,
.
Mujhe tum YAAD aate ho,
.
Tumhari YAAD hony sy,
Koi sargoshi krta hai,
.
Ye palkein bheeg jati hai,
Do aansu toot girty hai,
.
Main palkon ko jhukati hun,
Bazahir muskurati hun,
.
Faqt itna hee kehti hun,
Mujhy kitna sataate ho,
.
Mujhe Q YAAD aate ho�

Ham jesa chahne wala phir kahan se lao gay,

Baat jo dil ki suno gay tu haar jao gy.
Ham jesa chahne wala phir kahan se lao gay,

Jaan dainy ki baat tu hr koi krta he.
Zindgi banane wala kahan se lao gay,

Jo ek nazar dekho gy tm hamen.
Tu har taraf sirf ham ko hi pao gay,

Yaqin apni muhabt par itna hai mujhy.
Meri chaht ko dekho gy tu lot aao gay,

Bari Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,

Bari Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,
Zara Si Baat Par Toofan Uthana Uski Aadat Hai,

Zyada Garoor Bhi Acha Nahi Hai Aisi Baaton Par,
Kisi Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Uski Aadat Hai,

Lagti Rehti Hai Koi Dilon Mein Aag Si Goya,
Hamesha Lakriyan Geeli Jalana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Wo Sanjeeda Hai Kitna Dekhte Rehna,
Mohabbat Har Kisi Se Yoon Jatana Uski Aadat Hai,

Shikayat Karne Aaye Ho To Itna Zehen Mein Rakhna,
Sabhi Baaton Ko Baaton Mein Urraana Uski Aadat Hai

Bahut Tanha Hon Main Aaj Kash Tum Aa Jao,

Aaj Kuch Waqt K Liye Paas Meray Kash Tum Aa Jao,
Bahut Tanha Hon Main Aaj Kash Tum Aa Jao,

Kabhi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Maine,
Par AaJ Bikhar Gya Hon Main Kash Tum Aa Jao,

Kaafi Din Se Ji Raha Hon Bin Teray,
Aaj Nai Guzar Raha Ek Pal Kash Tum Aa Jao,

Waqat Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Hai,
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum Aa Jao...

Jaise Bhi Rakho Ise Ab Tumhari Marzi.

Jaise Bhi Rakho Ise Ab Tumhari
Marzi.

Meri Nahi Ab Yeh Jaan Tumhari Hai.

Bhulana ho jinhein un ko bhala kaise bhulatay hain�

Judai dene wale tum se umeed-e wafa kaisi,
Taaluq toot jaye jab,
Mohabbat rooth jaye jab,
To phir rasm-e-dua kaisi, Milan ki ilteja kaisi,

Bhanwar mein dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya,
Ukhartay saans houn to zindagi ki arzoo bhi kya,
Ju manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kyun,
Magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha hai,
Tumhein kyun Dil mein aaj takk aabaad rakha hai,
Abhi tak main ne kyun khud ko buhut barbaad rakha hai,
Hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai,

Judaii dene wale Meri qasam tum ko,
Tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko,
Mujhe itna bata dena,
Wafa ki chahton ki mashalein kaise bhujate hain,
Nishaan kaise mitaate hain,
Bhulana ho jinhein un ko bhala kaise bhulatay hain�

Seene Mai Tujhe Dil Ki Jaga Rakha Hai

Humne Ulfat Ka Bharam Sub Se Juda Rakha Hai
Goya Seene Mai Tujhe Dil Ki Jaga Rakha Hai

Dil Ye Chahe K Tu Kabi Badnaam Na Ho
Dekh Zikar Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai

Mere Jis Hath Se Kia Tha Tune Musafha
Dhoya Hi Nahi Honton Se Laga Rakha Hai

Ab Mai Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab
Doulat-E-Husn Pe Darban Beitha Rakha Hai

Juda Hogaye Hain To Phir Kia Howa
Teri Tasveer Ko Seene Mai Saja Rakha Hai �