Tuesday 14 June 2016

Bari Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,

Bari Baaton Ko Khayal Mein Na Lana Uski Aadat Hai,
Zara Si Baat Par Toofan Uthana Uski Aadat Hai,

Zyada Garoor Bhi Acha Nahi Hai Aisi Baaton Par,
Kisi Ka Naam Likh Likh Kar Mitana Uski Aadat Hai,

Lagti Rehti Hai Koi Dilon Mein Aag Si Goya,
Hamesha Lakriyan Geeli Jalana Uski Aadat Hai,

Mohabbat Mein Wo Sanjeeda Hai Kitna Dekhte Rehna,
Mohabbat Har Kisi Se Yoon Jatana Uski Aadat Hai,

Shikayat Karne Aaye Ho To Itna Zehen Mein Rakhna,
Sabhi Baaton Ko Baaton Mein Urraana Uski Aadat Hai

1 comment:

  1. دکھ درد انسان کی زندگی کا حصہ ہیں۔اسی حساب سے انسان کے جذبات ہوتے ہیں۔کبھی وہ بہت دکھی ہوجاتا ہے۔کبھی بہت خوش ہوجاتا ہے۔ مگر جذباتی انسان کبھی خوش نہیں رہتا وہ بات بات پہ دکھی ہوجاتا ہے۔جذباتی شاعری دیکھنے کے لیے یہ پوسٹ ملاحظہ ہو۔
    https://adbiqom.com/emotional-poetry/
    sad poetry# lovesadpoetry#
    اپنی تحریر ادبی قوم پر شائع کروانے کے لیے اس ای میل پر ارسال کریں

    ReplyDelete